Hawa chali ja rahi thi kahin,
Jane kahan se aayi thi,
Kisi ko jhonke lage tere,
Kisi ko thapede maar ja rahi thi,
Ruki to sukhe patte tak na hile,
Aandhi bani to mahal ukhade ja rahi thi,
Yoon naraz hoti hai kabhi to tufan ban k barasti bhi hai,
Magar baras kar rukna bhi hai ye samajhti bhi hai,
Ek mauka dene ko tarasti bhi hai,
Kabhi khidkiya khadka ka kar andar aa jaati,
kabhi bahar kheton khaliyano ko lehrati
Kahin kisi ek chhaya dar ped ke niche,
mazdoor ki dopeher ki neend ko pura karti tum,
Kabhi kisi pataka ko fehrane ka mansuba rakhti tum,
Kahin kisi masson k chhote pankhe ko ghuma kar hasti uske saath,
Kabhi kisi Khushboo main mil kar romani karti sama,
Kabhi kisi ghar ki bhujhati tum shama,
Kahin kisi banjar sukhi zameen par mitti udati tum,
Kahin kisi ki gamzad aakhon ka pani sukhati tum,
Tik tik karte samay ke jaise kabhi haath main na aati tum,
Kya hua jo nazar nai aati tum...
kisi ki udaan ko jab pankh lagati tum,
kya hua jo nazar nai aati tum...
By
Neeraj Goel
No comments:
Post a Comment