Tuesday, December 26, 2017

If you could read my mind...: When you are in state of what to do..

If you could read my mind...: When you are in state of what to do..

When you are in state of what to do..

Jab aage badhte badhte kadam ruk jata hai
Jab picche mud kar dekhna ko ji chahta hai
Kuchh log dikhte hain intezar main
Kuchh ka intezar khatam Hua hai
Aaj fir likhne ka Mann Hua hai..

Jab nadiyon ko sagar kam lagne lagta hai
Aur wo ruki si rahti hai barish ki boodon ke intezar main
Jab zindagi tedi lakir par bhi seedhi lagne lagti hai
Tab kuchh to galat Hua hai
Aaj fir likhne ka Mann Hua hai..

Jeene ka Mann to bahut hai ..lekin
Aage badhne ka Mann to bahut hai ..lekin
Dunia dekhne ka Mann to bahut hai..lekin
Sham ko baith k pine ka Mann to bahut hai.. Lekin
Aaj fir hosla kharab Hua hai
Aaj fir likhne ka Mann Hua hai...

Ab sochta hoon aage badhu ya ruk jau
Kuchh kaam karu ya so jau
Jeena hai to chalna hoga
Kuchh Karna hai to din ki tarah dhalna hoga..
Aaj fir musibaton ka aana Hua hai
Mera bhi unse saamna Hua hai
Sochta hoon ek bar aur bhid leta hoo
Khushiyon se khud ja kar mil hi leta hoo
Aaj fir naye josh ka aaghaz Hua hai
Aaj fir likhne ka andaaz-e-bayan hua hai..