Monday, March 26, 2012

Its never too late…

Jab dard ka badal chhaya,

Jab Gham Ka saya lahraya,

Jab aansoo palko tak aaya,

Jab yeh tanha dil ghabraya,

Humne dil ko ye samjhaya,

dil aakhir tu kyun rota hai,

duniya main yunhi hota hai....

 

ye jo gahre sannate hain,

waqt ne sabko hi baante hain,

thoda gham hai sabka kissa,

thodi dhoop hai sabka hissa,

aankh teri bekaar hi nam hai....

Har pal ek naya mausam hai,

kyun tu aise pal khota hai,

dil aakhir tu kyun rota hai.....