Kai varsh pahle ke hain kai kisse
Jab ab bache kahaniyon ke hisse
Ye un dono ki baat hai jab milte the dar roz
Hath pakad kar saath chalna jab tha aam sa
Kahin ruk kar kisi dukan k sheeshe main jhank kar kahna “woh accha hai”
Nikal jana kahin dunia se door fir ghabrana
Yunhi chala tha silsila ye saalon-saal
Fir hua yun ke aaya jawal
Laya apne saath kai sawal jinka tha na koi jawab
Bas Zindagi chali, kafi kuchh badal gaya
Rahe do parinde lekin ghar gaya
Basi to thi do dunia alag si
Lekin kahin kuchh tha jo kam rah gaya
Kai raaten biti to bane kai saal
Baal halke safed, wajan badha
Lekin ye sirf wajan nai tha jo badha hua tha
kandho par bojh bhi kuchh nahi kam nahi tha
Ab to darr bhi lagne lagta hai khud se baat karne se bhi, kahin kisi dil ke kone main koi sun le to hoga sambhalna mushkil
Yunhi lakir par chalte hue kisi ne achanak pooch lia haal,
yunhi laga jaise mere sote hue chahre pe kisi ki ungaliyon ne mujhe uthaya
yunhi laga jaise mere sote hue chahre pe kisi ki ungaliyon ne mujhe uthaya
Aankhen khuli to koi nahi tha par ek hawa
Ghuma idhar udhar bana nahin kuchh kahin kidhar
Gaya tha milne to nishabd sa khada tha
Dekh kar usko laga jaise main ek sookha ghada tha
Us din so na paya tha, haan waise soya to pahle bhi kahan tha,
Aage badh chala tha woh shayad thoda kush tha
Chehra khila hua aur ek ajeeb si umang thi
Ki kai baar baten lambi, kafi din baad kisi ne pooch tha kaise ho, kaisa tha aaj ka din
Bas muh khola hi tha kuch kahne ko aur lambi saans lekar bas chup ho gaya
Bas mand sa muskuraya aur kaha thik hoo
Baaton baaton main hua fir ek baar sahaj sawal jawab, pata lagaya ki zindagi woh nahi ab jiska dekha tha khawab
Main kal bhi pareshan tha aaj bhi hoo, koi nai baat nahi, aaj woh bhi pareshan hai, ab ye ghabrahat hai
Bas tasalli hai ke ab koi sun lega jab wakt milega
Wakt milega nahi to katega zarur
Jab main kuch nahi tha to kuch tha,
bohot kuchh ho kar bhi aaj kuchh nahi hoon
Neeraj